quoting Some of the initials of famous songs and sher o shayari is my all time favourite.Request all to join say what ever they like. Kiya hai payar jisey humne zindagi ki tarah , vo aashina bhi mila hum se ajnabi ki tarah
Wah wah cancob bhai ... Sher-o-shayari mein main kamjor hi hu but yeh ek sher google se Ye arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum. Na tammana hai kisi ko rulayein hum. Par dua hai us rab se ek hi, Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum
Subahn allah bhai bahut khoob arz kiya hai Kasid k aatey aatey khat ek aur likh rakhon , mai jaanta hun jo vo likhenge jawaab mey
bhai log jo asad ullah khan ghalib sahab they unki shayari ka jo makaam tha yan jo sooch thi vo na tu unsey pahle kisi ko hasil thi na unkey baad bhi koi uskey aagey sooch paya misaal k taur pe unho ney aapney ek sher me Khud kaha - 'aatey hain gaib se yeh mazami khayaal mey , ghalib sarerey khama navaye sarosh hai'. Bina google karey bhai jo bhi ghalib sahab ki is baat ka Matlab batayega he will win recharge of 30.
cancob bro but how will u know ki google kiya ya nahi ... BTW main toh sach bol rha hu mujhe matlab nahi pata ... par google karke bata sakta hu
Admin bhai pata lag jata hai k answer google ne diya k dil ne aap google kar k batao , mujhe umeed hai google pe nahi milega
har ek baat pe kahte ho tum ke tu kya hai , tumhi kaho yeh andaaze guftgu kya hai ! Ragon me dordte phirne ke hum nahi kayal , JO AANKH HI SE NA TAPKA TU LAHU KYA HAI.
Jo na vakif hain mujhse unse yeh kah do , aaj jubaan pe raaz aaya tu zubaan ko mod ke rakh dun ! nahi paida hua koi jo roke meri rahoon ko.
dedicated to all students....... na waqt hai itna ki sylabus pura kiya jaye , na tarkib koi exam pass kiya jaye...... na jane kaunsa dard diya hai iss education ne , na roya jaye aur na he soya jaye......
Kitna Samjhaya Dil Ko Ki Tu Pyar Na Kar Kisi Ke Liye Khud Ko Bekarar Na Kar Wo Tere Nahi Hain Nadaan-O-Pagal Kisi Aur Ki Amanat Ka Intezar Na Kar
dost ban ban ke mile mujhko mitane wale , maine deakhe hain kai rang badalne wale ! Tumne chup rah ke kiya aur bhi situm , tum se tu aache hain mere haal pe hansne wale.
Goonjta hun jo dil mae tu haeran hun kyun mai tumhare hi dil ki tu awaaz hun , sun sako tu suno dharkanon ki zubaan mai yahan hun yahan hun yahan.
'aatey hain gaib se yeh mazami khayaal mey , ghalib sarerey khama navaye sarosh hai'. Bhai.... agar galat ho to maafi chahunga..... Ghalib , apni shayri k baare me keh rhe hain k.. "ye Jo shayri wo likhte hain... woh kisi undekhi duniya se aati hain unke khayaalo me.... unki kalam kisi jannat k maseehe ki aawaz hai..." N also tell me is it Google's voice?
Jaspal bhai you have given 100% accurate answer even I did not know this much of correct answer - As per promise your surprise gift is 100 flat Hs18 G.C is in your inbox , check details.